Kya socha tha aur kya ho gaya...
Kya socha tha or kya ho gaya......
Kya socha tha aur kya ho gaya,
ek sapna tha wo bhi kho gaya,
kuch sochkar chale the aage badhne,
kuch aisa lage hum padhne,
man me to na Jane kitne armano ka shor ho gaya, kuch kisi se batana chaha to wo bhi sunkar bor ho gaya.
Fir socha, kya socha tha aur kya ho gaya.........
Kuch ummide thi, kuch hasrate thi,
kuch kabliyat thi, kuch shararte thi,
khushi bhi thi, khushi ki wajah bhi thi,
dukh bhi tha, gam ki hawaye bhi thi,
Zindgi ki navo me kinare par bhi gahrayi ka khumaar ho gaya.
Fir socha, kya socha tha aur kya ho gaya...........
Chalte bhi the, rukte bhi the,
girte bhi the, sambhalte bhi the,
khidki se aa rahi hawao ne kuch bataya,
duniya ne tujhe hi kyu itna sataya,
tu mat soch jo darwaje par aahat hoti hai,
mukammal hua koi sapna to kuch rahat hoti hai,
fir bhi laga ki jamana kyu humse hi khafa ho gaya.
Fir socha, kya socha tha or kya ho gaya...........
Makdi se sikho kaise jaal banati hai,
chiti se sikho kaise wo har jagah mahnat karna sikhalati hai,
logo ko mithas ka sahad dene wali madhumakkhi ki to baat hi kuch aur hai,
Ye sab dekhne or sunne ke baad bhi hum insano ka bolna bhi jahar se jyada ghatak ho gaya..
First socha, kya socha tha aur kya ho gaya............
๐๐๐๐๐๐๐๐๐๐
very nyc and heart touching
ReplyDeleteThanks
Delete