Ek nayi subah...
Surya ki kiran jab dharti par shama bikherti hai,
Chah-chaha uthti hai chidiya akar ke angan gherti hai.
Khil rahe kamal talaabo me bhawaro ka gunjan ho raha,
nratya karte mor van me panchiyo ka shor ho raha.
Bah rahi nadiya veg se, jharne veg se bah rahe,
un nadiyo me dekh kaise umang ke naav chal rahe.
Baj rahi banshi madhur sun kar man prasann ho raha,
panchiyo ke mithe bol se aasman me shankhnaad ho raha.
Mand -mand chal rahi shital hawaye kano me aisa bol rahi,
bhor hui ab jaag pagle watawaran me mishri ghol rahi.
Aisa drashya dekh man aaj prafullit ho raha,
ek nayi umang ke sath nayi subah ka agaaj ho raha.....
ππ
ππ
ππ―πππ―ππΏππππππ‘ππ¨π΄δΈππ¨ππ΄ππ
No comments:
Post a Comment