Kux socha to jana....
Ek din yu hi baithe soch rahi thi,
ansuo ko main apne poch rahi thi.
Janm diya jisne palan poshan kiya jisne, hath pakad kar mujhe chalna sikhaya, mamta ka hath jisne sar par ghumaya, aj use ek naya aayam mila, apni karni ka kya anjaam mila.
Wo apne aansuo ko pikar hamare aansuon ko pochte rahe,
or hum har bar na jane kyu unhe hi koste rahe.
Har waqt hamari chinta, har waqt hamara khayal raha jinke man me,
apni pareshaniyo ko bhul jab bhi jarurat padi jarurat se pahle kapda diya tan mein.
Na jane kitne gamon ki aandhi thi unke dil me samayi,
hamara laal age badhega yah aash thi man mein jagayi.
Jisne hamare sone ke liye kitni raaten jaag kar bitadi,
or aj hum itne bade ho gye ki humne unhe apni aukaat dikhadi.
Jo aaj bhi hame aage badha rahe hai, or aaj hum unhe na jane kya-kya padha rhe hai.
Hum karte rahe apni kabhi na suni unki,
hamari khushiyon me khushiyaan thi jinki.
Jab mila duniya se to na jane kitne riti -riwajo se mulaqat hui,
tab yaad aaya pyar sirf jo unhone diya, ab to sirf gamon ki barsaat hui.
Jo main chod aayi choukhat usme to koi aahat hogi,
aaj unhe hum bachcho se koi na koi sikayat hogi.
Jab socha apne liye to main Sare jamane se lad gyi,
or aayi jab unki yaad, dikha jab wo choukhat tab na jane kyu jameen par gir gyi.
Girne par jab chot lagi to ek aah sunayi di,
beti tujhe chot to nahi lagi mujhe ek aawaj sunayi di.
Us mamta ke aanchal Or pita ke saye ko jab humne napa,
to wo or koi nahi the apne hi Maa-Papa.
Unke pyar me na jane kaisi aahat hoti hai,
jo Sare gamon ko mitade, unke pyar me aisi taqat hoti hai.
Unke pyar me kya baat hoti hai ye main kaise batau
jo apne Maa-Papa ko bhul jate hai unhe main kaise samjhau...
Zindagi me kux aisa kar jao ki kisi bhi cheej ka tumhare sar par koi bhaar na ho,
bas yahi duaa karna salamat rahe hamare Maa-Papa unpar kabhi gamon ki barsaat na ho....
πππππ..