Saturday, 7 September 2019

Maa-Papa..

Mata or Pita... 

Duniya me to saat ajube hote hai, lekin agar koi janna chahe to ek ajuba hamare mummy or papa bhi hote hai.. 

Kyuki sab to hame koshte hai, najarandaj karte hai, hamari achchaiyo ko bhi hamari galti kahkar hame thukrate hai.. 

Lekin sirf hamare mummy-papa hai jo apne sapno ko todkar, apni pahchan ko piche chod kar, samaaj ke samne hi nahi balki puri duniya ke samne late hai ,or apni ichchao ko bhulkar sari zindagi hame ek ajuba banane me laga dete hai. 

Hamare mummy-papa ek aise ajube hai jo kabhi hame apna dukh dikhate nahi balki hamare dukh ko khushiyo me badalte hai. 

Ajube to bahut dekhe magar jo ajube hamare samne hai unpar gour na karke chale the duniya ki shair karne, sair kiya to duniya me logo se mila jab logo ne thukraya tab ayi unki sikhayi ek baat yaad--

Ki agar duniya me aage badhna hai to khud ko mat badlo apna dekhne ka najariya Or apne, paraye me antar samajhne ka tareeka badlo, tabhi aage safalta hai warna sirf logo ki badsaluki or nirasha ke shiwa kux haasil nahi hoga. 

😔😔😔😔😔😔😔

Maa ek jannat hai or Maa ki Pita mannat hai, jo mili bhagwan se puja or satkar se, 
Jab muraad hui puri to bana ek warg, 
Maat-Pita ke charno me hi to hai swarg..... 

🙏🙏🙏🙏🙏🙏🙏

No comments:

Post a Comment