Thursday, 29 August 2019

Kya h zindgi.

Jiska koi raj ho wo h zindgi, jiski koi bat ho wo h zindgi, jiski koi chah nahi jiski koi rah nahi magar mano to sari fariyad hai zindgi.

Jab hame kux na mile jab hame kux na dikhe, sab kux karke dekh liya par kux na mile, tab ek boond pani ki aash ka ana hai zindgi.
Jab koi sahara na ho, jab koi kinara na ho, pass me pura parwar to ho par koi tumhara na ho, fir bhi chote se wiswas ki bat hai zindgi.
Kux pane ki aash, kux jatane ki aash, kux sunane ki ash kux likh kar dikhane ki aash, tab us sapne ko pura karne ki bat hai zindgi.
Jab charo taraf andhera ho or kux na dikhe, tab ek diye ki roshni ka jagmagana hai zindgi.
Jab mata pita ke pass koi sahara na ho, age piche log to ho par koi tumhara na ho, tab mata-pita ko ek bete ki aash ka ana hai zindgi.
Ud-ud kar ek panchi ne sara jaha dekh liya, thoda sa thahra lekin fir uda, fir bhi kux na dikha kux na mila, tab achanak najar padi Or ek tinke ke milne se khushiyo ka ana hai zindgi.
Ish jaha me rona bhi hota hai hasna bhi hota hai. Kux karna bhi hota hai kux karke dikhana bhi hota hai, khushiyo ka sawarna bhi hota hai khushiyon ka bikharna bhi hota hai, tab Sare tasavvur ko par kar uth khada hona hai zindgi.
Yaha par na chain hai na hi aram hai, kahi par shanti hai to kahi par wo bhi haram hai, duniya me bahut se utar chadhao hote hai, magar inko jo par kar jaye wahi to hai zindgi.
Kisi ke pass ghar hai lekin ghar chalaane ke liye paise nahi, or kisi ke pass paise hai to kharidne ke liye ijjat nahi, kisi ke pass neend hai lekin Sone ke liye bistar nahi, or kisi ke pass bistar hai  to use neend ane ke liye chain nahi, lekin in sari pareshaniyo ko par kar uth khada hona hi to hai zindgi..

No comments:

Post a Comment